Thursday 10 November 2011

PREM KAHANI


PREM KAHANI
EK KHWAHISH USKI THI
SAATH MERE JEENE KI,
EK KHWAHISH MERI THI
PAAS USKE HONE KI.

THE YE BACHPAN KE SAPNE
JAWANI MEIN BANE APNE,
SAATH JEENE MARNE KI
FIR KHAYI HUMNE KASME.

AAJ AAKHRI MILAN HAMARA
SAAYAD NA HO FIR DUBARA,
TAKDEER NE NAA JAANE KAISE
 HAME BANAYA  DO KINARA.

USKI AANKHEIN BOJHIL THI
MERA DIL BHI ROYA HAI,
KYA SHIKWAA KARU IS TAKDEER SE
MERE ‘APNO’ NE KHUSHIYON KO LUTA HAI.


KASOOR BAS ITNA SA THA
DONO KA MAJHAB DOOJA THA,
HUM DONO KE PYAAR KA
KISSA BAS ITNA SA THA.

Wednesday 9 November 2011


HAAL- E DIL

LIKH RAHA HU AAJ MAIN
APNA HAAL E DIL TO KYA,
YAAD TERI DIL NE MERE
EK PAL NAI MITA SAKA.

TU NAA SAMAJH MUJHE BEWAFA
IZHAAR JO NA KAR SAKA,
PYAAR MEIN MARTA RAHA HU
AUR KUCH NA MAIN KEH SAKA.

HAR TARAH SE TAUL KE KHUD KO
NAAKABIL HI PAAYA THA,
AAJ JAB KAABIL HUA TO
DOOR TERA SAAYA HAI.

BHUL JAANA HO SAKE TO
EK KHWAAB SAMAJH LENA,
TAKLEEF HUI JO BHULNE MEIN
BEWAFAA SAMAJH LENA.

Sunday 6 November 2011

RAIL GAADI


CHUK CHUK RAIL GAADI,
SANG LEKAR CHALI SAWAARI.
BEECH WAALI STATION BOLI,
KYU BHAIYA LAGTE HO BHARI.

GAADI BOLI STATION RANI,
KYA SUNAU TUMHE KAHANI.
SAWAARIYO KA OVERLOAD,
 USPE SAMAAN KA BOJH.

PAISE DENE MEIN ANAKANI,
INSTRUCTION KAI SAAL PURANI.
FIR BHI YAAD KARNE MEIN INKO,
AATI YAAD INKO NAANI.

SARKAAR KA BHI BURA HAAL,
SAMAJHTI HAI SASURAAL KA MAAL,
JO BHI MILTA SAMET LO,
JAISE HO SAALI LAPET LO.

KHUD CHALTE AC MEIN YAAR,
SAATH CHALE JAWAAN CHAAR.
YAHAAN HAZAARON MERE NAAL,
KAUN RAKHE INKA KHAYAAL.

MERI HAALAT US POLE KE JAISI,
JINPE CHALTI KUTTON KI MARJI.
NA SAAF NA SAFAAI,
JAISE HO SARKARI FILE.

DO PREMI


DO PREMI

BOY-
DHADAK DHADAK JIYA MERA,
TUJHKO BULAYE RE.
AB TO TU AAJA GORI,
 KYU KUJHE TARSAYE RE.

AANA KA VAADA TERA,
JHUTA NA PAD JAAYE RE.
TAK TAK YU RAASTO KO,
WAQT NA DHAL JAAYE RE.

TARAS RAHI ANKHIYA MERI,
EK JHALAK PAANE KO.
GEET AAJ BHI TERE,
KAANO MEIN GUNGUNAYE RE.

CHAND AUR SURAJ DUBARA,
MILNE KO AAYE RE.
APNI MULAQAAT KA,
SAMAY NAHI AAYE RE.

GIRL-
AA GAYI LO MAIN SAJNA,
JEEBHAR KE DEEDAAR KAR.
MILNE KO KABSE MERA,
MANN BHI LALCHAYE RE.

AMMA GHAR NA CHODE,
BAAPU DUWAAR NA.
AANE MEIN DER BHAI,
MAAN BHI AB JAO NA.

AAO KUCH WAQT SAJAN,
SAATH HUM GUJAAR LE.
PATA NAHI YE MAUKA,
FIR KABHI MIL PAAYE NA.

AAKHRI YE SAATH HAMAARA,
CHUP KAR YE MILAN HAI.
KAL TO YE DOLI MERI,
JAANI SANG SAJAN HAI.

zindagi dusro ne banayi,
humne to bas sanwara hai,
aaj hu jo kuch bhi,
aap ki mehnat aur duwaon ka nazara hai,

ae uparwale agar tu hai,
to inka saath hamara hai,
rakhna inhe salamat,
agar tu hamara hai,

khusiya inse hi hai,
inse hi gham me sahara hai,

bas itni fariyad hai,
rehna sath hamare,
tu hi hamari naav ka
akhri kinara hai

EK KHWAAB SAJAANE KO


EK KHAWAAB SAJAANE KO
Ek  khawaab sajane ko
Tumhe apna banana ko
Hum ghar se chal diye
Tumhe apnane ko.

Na rasta maalum tha
Na thikana malum,
Tere naam ke siwa
Kuch bhi na malum.

Mil jaa yuhi kahi
Raaste ki bheed mein,
Saath na chodunga
Rahu kisi bhi janzeer mein.

Nazron mein aise rahegi
Kajal teri aankhon mein
Dil ki dhadkan jaise
Tu rahegi sanson mein.

Mil jaa kisi bheed mein
Ek khawaab sajaane ko.

AYE UPAR WAALE


AYE UPAR WAALE
EK BAAR NEECHE AA.
APNI BANAYI DUNIYA KA
DEEDAR KAR.

JINHE JEEVAN DIYA
UNSE FIR PYAAR KAR,
WARNA KOI NA HOGA
TUJHE PUKARNE WALA,
TUJHE YAAD KAR
HAATH FAILAANE WAALA.

YE DUNIYA
BEDARD BAN GAYI HAI,
INKO AAKAR PYAAR SIKHA,
INSAAN SHAITAN KA FARK BATA.

NA AA SAKA TO DOOT BHEJ,
TERE TO HAI ROOP ANEK.

AB AA BHI JAA
NA IMTEHAAN LE,
MERE JAISE KAI AUR PADE,
DER KI TO UPARWAALE
NAHI HONGE PUKARNE WAALE.