Tuesday 11 October 2011

INTEZAAR



BEECH SADAK PE MAIN KHADA
KARTA USKA INTEZAAR,
WO BEDARDI NA JAANE
KHARA KAHA KIS PAAR.

AATE JAATE LOGO NE
MUJHSE KIYE SAWAAL,
NA JAANE KITNE BAHAANE
MAINE KIYE HAR BAAR.

AAJ NAHI MAI CHODUNGA,
GALTI PE NA MUH MODUNGA,
PYAAR KA INSAAF HOGA,
INTEZAAR KA HISAAB HOGA,
WO KYA SAMAJHTE HAI
HAR LAMHE KA HISAAB HOGA.

KITNI DAFE AANE KE VAADE
SAB KARTE BE IRAADE,
MILNE KA JO MANN HOTA
MUJHSE PEHLE WO YAHAAN HOTA.

NA DIN KOI AISA HOTA
NA HOTI KOI RAAT,
KI KAHI PE MAIN KHADA
SUNTA AURON KI BAAT.

LIKHNE KA MANN KARTA HAI,
KUCH KEHNE KA DIL KARTA HAI,
PAR NA JAANE AAJ KYUN
DIL BECHARA DARTA HAI.

HAR RAAT KHWABON MEIN AATI HO,
SAPNE PYAARE BANATI HO,
SAPNO KO HAQEEQAT KARNE MEIN
EK DARR SA LAGTA HAI.

HAR PAL TUJHE PAANE KO,
DIL SOCHTA REHTA HAI,
KEHNE HAI KEVAL 3 SHABD
WO MUSHKIL SA LAGTA HAI.

APNI BERANG SI ZINDAGI KO,
TERE RANG SE RANGNA HAI,
PAR TERE IN HAATHON KO
HAATH MEIN LENE SE DARTA HAI.

DIL BECHARA KEHTA HAI,
TERE SANG HI REHNA HAI,
HAAN AUR NA KE BEECH MEIN
MERA JEEVAN ULJHA HAI.